Inspired from Within

Lavz panah ho, junoon mein aisa karar nahin
bechain sadma ho bheege fariyaad
ummeedon se bhari lehron ki kurbaani
kabhi mausam ko poochke  to dekho
kya baarish sirf rulaata hai                                    
chupaata kuchh bhi nahin??



Panna panna bhar doon tere naam
yeh begaana dil ka bhi kya paagalpan hai
zara mehsoos toh karoon qhwaishein dil ki hazaaron
varna zamaana bhi poochega
waqt ki rachna mein tumne apne aap ko hi bhool baithe?

Jab bhi dekhta hoon tumhe
                                                
nazrein jhuk jaati hai apne aap                        
jab bhi dekhta hoon tumhe
nazrein jhuk jaati hai apne aap
faislakarne ka bhi mouka nahin deta yeh dil
ke kitne umangon ke sahaare
yeh nazdeekiyaan utar aayee hain.

Na gila karoon na shikwah
Ibaadat mein mausam rangeen lagne lagti hai                      
gir agar jaaye bhi do boond aansoon                                
toh samjhoon paigaam farishton ka mujh tak pohonch gaya hai.

Churaake le gaye ho tum kahaan
yeh dil tumhe dhoondne gaya hai  
woh kya hai jise is dil ne khoya
kya sharaarat mein chhupe meri muskaan toh nahin?

Kitne door ho tum kitne paas
ehsaas isi ka sataati hai
tumhaare zulfon mein qaid hai har saans                      
guzaarish hai, humaare saath bhi do chaar pal guzaar lo
kyonki saanson ki keemat ka koi andaaza nahin.



Rishta dhoondne chala hoon
jahaan rishton ka ki pata nahin
sirf yakeen mein qaid hai yeh dhadkan
ishq ka dariya paar karoon bhi toh kaise
zubaan pe lavz aatey hi dhooyan ban jati hai.


Sirf aansoon mein chhipi hai zindagi ki shiqaayetein
haaley dil ka yeh majboori hai                            
paygaam jis dil ko pohonchaane yeh dil chaahe
kismat uski utni hi bhaari hai.

Nazar do lavz ek hain
dil mein samaaye hue baat anek hain
parantu mushkil hai use keh paana
kyon ki kehne ki taaqaat bhi adhoori hai.

Chahta  hoon ke tujhe chhupaaloon in palkon mein
duniya ko tu dekhe par tujhe duniya nahin
gila hai is baat ka mujhe sirf
ke tu farishta hain koi insaan nahin.


Comments

Popular posts from this blog

Lines of rhythmic beauty

Perfection- defined

On Womanhood